Ticker

6/recent/ticker-posts

Halat-E-Sheher Ke Guman Se Dar Lagta Hai

Halat-E-Sheher Ke Guman Se Dar Lagta Hai
Aaj Insan Ko Insan Se Dar Lagta Hai

Khaak Main Mil Gyi Karachi Ki Haseen Roshniyan
Ab Tou Kud Apni Hi Pechan Se Dar Lagta Hai

Sheher Ka Sheher Pareshan Hai
Afsurdaa Hai Tazkara-E-Kaar-E-Shaitan Se Dar Lagta Hai

Jane Kab Kon Kise Maar Day Kafir Keha Kar
Ab Musalman Ko Musalman Se Dar Lagta Hai

Kon Aye Ga Humay Pyar Sikhane Ya Rab
Wehashat-E-Hazrat-E-Insan Se Dar Lagta Hai

Ab To Har Ek Adākār Se Dar Lagtā Hai 
Mujh Ko Dushman Se Nahīñ Yaar Se Dar Lagtā Hai 

Kaise Dushman Ke Muqābil Vo Thahar Pā.Egā 
Jis Ko Tuutī Huī Talvār Se Dar Lagtā Hai 

Vo Jo Pāzeb Kī Jhankār Kā Shaidā.Ī Ho 
Us Ko Talvār Kī Jhankār Se Dar Lagtā Hai 

Mujh Ko Bāloñ Kī Safedī Ne ḳhabar-Dār Kiyā 
Zindagī Ab Tirī Raftār Se Dar Lagtā Hai 

Kar Deñ Maslūb Unheñ Laakh Zamāne Vaale 
Haq-Parastoñ Ko Kahāñ Daar Se Dar Lagtā Hai 

Vo Kisī Tarah Bhī Tairāk Nahīñ Ho Saktā 
Duur Se Hī Jise Mañjdhār Se Dar Lagtā Hai 

Mere Āñgan Meñ Hai Vahshat Kā Baserā 'Afzal' 
Mujh Ko Ghar Ke Dar-O-Dīvār Se Dar Lagtā Hai

Post a Comment

0 Comments